1947 k shuru se Hasool e Pakistan Ka Jazba Musalmanoo k diloon main intahaa tak pohanch gaya tha.Quaid e Azam ki kayadat main barra sageer k musalmaan aik he parcham k nichay Ikhatay ho gaii thay.Azadi ka ye jazba Dist.Gujrat k logon main bi ubarr raha tha. 3 Feb 1947 ko jab Tahreek Civil Nafarmani shuru hoe to Musalmanaan e Gujrat k diloon aur zehnoon main hasool e Pakistan ka Jazba shoolaay ki tarah ubarta gaya. Jalal Pur Jattan,Kunjah aur dosray elaakoon se musalmanoo k jaloos Gujrat shehar ki janib aa rahay thaay,Jis jagaa Jinaah Azadi Park ki Bunyaad rakhi gai ha is jagaa Awara janwaroon ko bandha jata tha yehi wo jagaa ha jahan angarezoo aur musalmoon ka takraaoo howa 3Feb tak jab tehreek intazamia k kaboo se bahir ho gai to us waqt k DIG (Pindi Division) Mr scott Khud Gujrat Pohncha Police k sath wo thanay k samnay khaki nikker pehnay sir pr Hat Pehnay Mojood tha us waqt un k hath main Hockey thi aur wo police officers ko hadayaat de raha tha jab Kunjah aur Masjid Peer Walaaiit shah Aur Masjid Mian Jalaal ud din se Pakistan Zindabaad k naraay lagata howa police station pohcha to police ko bebas dekh kr us nay apni Hockey musalmanoo pr chalaana shuru kr di us ko dekh kr police nay bi lathi charge shuru kr dia bohat se musalmaan zakhmi howay us ki Hockey kaa nishanaa Dr.Ahmed Hussainn Qureshi banay to un k student nay us ki tangoon mai apna sir (head) de kr us ko uthaya aur nichay gira dia wo bagh nikla aur Azadi Park jahn pr Pehlay Janwar Banday Jatay thay diwaar pelaang kr chala gai itnay mai aik pathar us k sir pr laga aur wo zor zor se Pakistan Zindabaad kehta raha ye halat dekh kr police walay bagh gai aur thanay k gait band kr lia aur thanay ki upper char gai itnay main scott nichay gir para log samjhay scott mar gai ha log ider oder bikhar gai baad mainpolice aai aur usay civil hospital le gai aur wahn se us ko namaloom mukaam pr le gai
Ye wo mukaam tha jahan angaraiz hukmaraan k khoon se Pakistan zindabad k tareekh rakm ki gai
Sikandar Minhaas Shamaa Quaid e Azam Gold Medalist
Sikandar Minhaas Shamaa Jo k Is Tahreek e Pakistan k worker thaa un ki Umer us time 10 saal
ki thi unhooo nay Ye sara Nakshaa Khainchaaa Howa ha Un ki Pedaaish 1937 ha aur un ki Tareekh e Wafaat 28 Oct 2009 ha